Tuesday, October 4, 2022
बयार और बहार
Sunday, August 28, 2022
उदास
उदास
******
कौन रहा है
इस दुनिया में
हमेशा के लिए
फिर भी
ए ! ज़िंदगी
तुझ से बिछुड़ने
का ख़्याल
क्यों कर जाता है बेहाल
क्यों कर जाता है
मुझे उदास
@रजनी छाबड़ा
Koun rha hai
Is duniya mein
Hamesha ke liye
Phir bhee
Zindagee
Tujh se bichudane
Ka khyaal
Kyon kr deta hai
Mujhe udaas.
Tuesday, August 16, 2022
तिनका तिनका नेह / Tinka Tinka Neh
तिनका तिनका नेह
**************
नीड़ को
तिनका तिनका जुटा
सजाती है चिड़िया
कुछ कपास
कुछ धागे भी
बटोर लाती है चिड़िया
नीड़ में गरमाहट
लाने के लिए
अंडों को सेने के बाद
दायित्व मुक्त
नहीं हो जाती चिड़िया
अपने दुलारों के लिए
चुग्गा बटोरती
उनकी चोंच में डालती
मातृत्व का सुख
पाती है चिड़िया
नीड़ के बाहर की दुनिया से
उनका परिचय करवाती
नन्हे पंखों से
खुले आसमान में
उड़ान भरना सिखाती
जीवन चक्र
यूं ही चलता जाता
बीतते वक़्त के साथ ही साथ
चिड़िया का बल घटता जाता
भोर होते ही
पाखी भर लेते उड़ान
रुकी रहती सूने नीड़ में
उनकी माँ
सांझ ढले पाखी
लौट आते अपने नीड़ में
सहेजे अपनी चोंच में
माँ के लिए चुग्गा- दाना
यह रिश्ता हैं पनपता
सवेंदनाओं की दुनिया में
प्यार पगा नीड़
खुशियों का आशियाना /
रजनी छाबड़ा
Needh ko
Tinka tinka jutaa
Sajati hai chiddhia
Kuch kapas
Kuch dhage bhee
Bator lati hai chidhia
Needh mein
garmaht lane ke liye
Andon ko sene ke baad
Dayitv mukt
Nahin ho jatee chidhia
Apne dularon ke liye
Chugaa batortee
Unkee chonch mein daaltee
Matritv ka sukh
Patee hai chidhia
Needh ke bahar kee duniya se
Unka paricay krwatee
Nanhe pankhon se
khule asmaan mein
Udhaan lena sikhatee
Jeevan chakar yoon hee
Chalta jata
Bitate waqt ke saath saath
Chidhiyaa ka bl ghatata jata
Bhor ugate hee
Pakhee bhar lete udhaan
Pankh samate ab
Rukee rahtee hai
Soone needh mein unkee Maa
Sanjh dhale, pakhee
Lout aate apne needh mein
Samate apnee nanhee chonch mein
Maa ke liye chugaa - dana .
Yeh rishta hai panpata
Sawendnaon kee duniya mein.
Pyar paga needh
Khushiyon ka aashiyana.
rajni chhabra
needh ko
tinka tinka jodh
Sajati hai chiddhia
Kuch kapas bhee bator lati hai
Needh mein garmaht lane in ke liye
Andon ko sene ke baad
Dayitv mukt
nahin ho jatee chidhia
apne dularon ke liye
chugaa batortee
unkee chonch mein daaltee
matritv ka sukh
patee hain chidhia
needh ke bahar kee duniya se
unka paricay krwatee
nanhe pankhon se
khule asmaan mein
udhaan lena sikhatee
jeevan chakar yoon hee
chalta jata
bitate waqt ke saath saath
chidhiyaa ka bl ghatata jata
bhor ugate hee
nanhe pakhee bhar lete udhaan
pankh samate ab rukee rahtee hai
soone needh mein unkee Maa
Sanjh dhale, nanhe pakhee
lout aate apne needh mein
samate apnee nanhee chonch mein
Maa ke liye chugaa - dana .
yeh rishta hai panpata
sawendnaon kee duniya mein.
pyar paga needh
khushiyon ka aashiyana.
सुरंग/ SURANG
सुरंग
****
पहाड़ का सीना चीर के
बनायी जाती है सुरंग
अंधेरों की राह
पार कर के
जीवन में मिलते
उमंग और तरंग /
Pahaar ka seena cheir ke
Banayee jati hai surang
Andheron kee raah
Paar kr ke
Jeevan mein milte
Umang aur tarang
उलझन / ULJHAN
उलझन
*******
पसीने के मोतियों से
खुशहाली के हार पिरोते हैं
तपती दुपहरी में
ख़ुरदरी ज़मीन पर
कुछ पल सुस्ताते
शिक़वा नहीं करते किसी से
नमी आँखों में सोख लेते हैं
अब के बरस
घर की टूटी छत की
मरम्मत के लिए
कुछ जुगाड़ करना है
बिटिया के हाथ पीले करने का
वक़्त भी आ गया है
बेटे की आगे की पढाई के लिए
शहर भेजने के लिए भी
धन जुटाना है
इतनी उलझनों के जाल में उलझे
ज़िंदगी के धागे कैसे सुलझें
साहूकार से क़र्ज़ न लेने की ठानी है
उड़ती उड़ती खबर सुनी है
सरकार कुछ राहत देगी लगान में
किसी अर्ज़ी देनी है, कैसे देनी है
क्या उसे कोई राह दिखाएगा
बिना बिचौलियों के बिक जाए फ़सल
यही तो है मुद्दा असल
क्या सरकारी गोदाम तक पहुंचाने की
कोई उसको राह सुझाएगा /
Paseene ke motiyon se
Khush hali ke haar pirote hain
Taptee duphari mein
khurdaree zameen pe
Kuch pal sustate
Shikwa nahin krte kisse se
Namee ankhon mein sokh lete hain
Ab ke baras
Ghar kee tapkatee chht kee
Marammat ke liye
kuch jugaadh krna hai
Bitia ke haath peele krne ka
Waqt bhee aa gaya hai
Aur bete ko aage kee padhai ke liye
Shahr bhejne ke liye bhee
Dhan jutana hai
Itnee uljhno ke jaal mein uljhe
khud kee zindagi ke dhaage kaise suljhe
Sahukaar se karz na lene kee thanee.hai
Udhatee udhatee khabar sunee hai
Sarkaar kuch raahat degi lagaan mein
kisse arzee deni hain, kaise deni hai
kya koi usko raah digayega
Bina bicholiyon ke bik paaye fasal
Yahi to hai mudda asal
Kya sahkari godaam tak
Pahunchane kee
Koi usko raah sujjayega
Monday, August 15, 2022
दीवार
Hi! Friends, Enjoy reading this poem in Hindi as well as Roman English
दीवार
*****
घर आंगन में
दीवार खींच जाती है
जब दिलों में
दरार पड़ जाती है
बंटवारे का दर्द
सहती निरीह माँ
किसके संग रहे
जाए कहाँ
दीवार के उस पार
गूंजती बच्चे की किलकारी
बढ़ने को आतुर कदम
रोक लेती है ज़बरन
पर क्या रोक पाएगी
मन की उडारी
मन के पंख लगा कर
विचर आती है
दीवार के उस पार
अधजगी रातों में
सपने संजोये
देती है
निराधार जीवन
को आधार /
Ghar aangan mein in
Deewar kheench jaati hain
Jb dilo mein
Darar padh jati hai
Bantware ka dard
Sahtee hain nireeh Maa
kiske sang rahe
Jayen kahaan
Deewar ke us paar
Gunjatee bachche kee kilkaree
Badhne ko aatur kadam,
Rok leti hai jabran
Pr kya rok paaoge
Uske mn kee udaree
Mn ke pankh laga ke
Vichr aatee hai
Deewar ke us paar
Adhjagee raton mein
Sapne sanjoye
Deti hai
Niradhar jeevan
Ko adhaar
@RAJNI CHHABRA

