needh ko
tinka tinka jodh
Sajati hai chiddhia
Kuch kapas bhee bator lati hai
Needh mein garmaht lane in ke liye
Andon ko sene ke baad
Dayitv mukt
nahin ho jatee chidhia
apne dularon ke liye
chugaa batortee
unkee chonch mein daaltee
matritv ka sukh
patee hain chidhia
needh ke bahar kee duniya se
unka paricay krwatee
nanhe pankhon se
khule asmaan mein
udhaan lena sikhatee
jeevan chakar yoon hee
chalta jata
bitate waqt ke saath saath
chidhiyaa ka bl ghatata jata
bhor ugate hee
nanhe pakhee bhar lete udhaan
pankh samate ab rukee rahtee hai
soone needh mein unkee Maa
Sanjh dhale, nanhe pakhee
lout aate apne needh mein
samate apnee nanhee chonch mein
Maa ke liye chugaa - dana .
yeh rishta hai panpata
sawendnaon kee duniya mein.
pyar paga needh
khushiyon ka aashiyana.
No comments:
Post a Comment